Wednesday, 18 May 2011

Allah aur Dil ki Hifazat

Koh-e-Toor pr Allah Taala k noor ki aik jhalak aawaizan hui thi yo wo raiza raiza ho gya tha. Aik riwayat he k Allah dilon me rehta he. Aik nai tehqeeq se sabit hua he k dunya me 51% wo log kaamyab hote hain jo apne dil ki mantain hain. Is liye ye zaruri he k jahan Allah Taala ki zaat ho wo jga misali aur munawwar hni chaiye. Aj kal k insaanon me hr burai ka munmba aur majmua us ka dil he. Ye ghalat he. Loag Allah Taala ko talash krne me junglon,sehraon,biyabano me apni tamam tr zindagi guzr dete hain jab k Allah Taala to dil me hi rehta he.Apne  dil ki aur dil me basne wale khayalat ki hifazat kijye,apne dil ko ilm aur iman se munawwr kijye,Allah Taala ko apne qarib mehsus kijye,usy pehchanain taa k aap ki dunya aur aakhrat sanwar aky, hidayat hasil krne me aik pal lagta he aur agr aap khud hi na badlna chahe to koi kuch b nai kr skta aur aap tamam zindagi heera jaib me rakh kr khudai krte rahain,mitti kilawa kuch nai milega,aur aik din ye mitti itni barh jaye gi k aap is k nichay dab kr mit jain gain!!!!!

No comments:

Post a Comment