Friday, 10 June 2011
Tabdili Ki Shuruaat
Kehte hain keh tabdili ki shuruaat apne andar se hti he. Agar aap ko kisi nizaam se ikhtalaaf he aur wo ikhtalaf haq he to us k liye AAWAZ E HAQ buland krne me sharmana nai chaiye. Yaad rakhain keh agr aap apne samne hti burai ko hath se,zubaan se ya dil me bura nai janain gay tb tak na to Allah aap se Razi hoga aur na hi aap ki dua qabool hogi. Is liye jb tk aap khud ko nai badlain gay tb tk tabdili ki shuruaat nai hogi!!!!!
Wednesday, 1 June 2011
Haqiqt Pasandi Dukh Se Bachati He
Haqiqt pasandi aur realistic approach insaan ko dukh,gham aur pareshani se bachati he,jab keh tamam waqt khuab dekhte rehna aur gher haqiqi bato pr tawqqal krna aur sachai ko jante huay b pas-e-pusht dalna hamaqat he.aur ye inssan ko dukh pohanchati he. Haqiqat pasandi,sachai aur Allah Taala ki zaat pr qamil yaqeen hi itmenen,qamyabi aur khushi ki zamin he!!!
Tuesday, 31 May 2011
Gharoor,Akar aur Zid
Gharoor ,Akar aur Zid inssan ko tanha aur andar se khokla kr dete hain. Hamare zehan me us waqt ye bat nai ati keh Allah ki zaat pal bhar me hamara naam o nishan mita skti he aur qabar hamari akri gardan ko toor rakhay gi. Yaad rakhain k jo darakht akra ho wo sirf apne qanton se logon ko takleef hi deta he,jab keh thanda saya aur phal hamaisha jhuka darakht hi deta he!!!
HASD SE BACHAIN............
Hasad o Bughaz jahan aik bohat bra gunah he wahan ye dusre k liye khushi aur fakhar ka bais bnta he. Hasd jahan aik bohat bra gunah he wahan ye aap k fitrat aur kamzarfi ka akas b he, hamain dusron ki koi khasiat dekh kr rashk krna chaiye aur jo b kisi ki achi baat lgay wo apna lena chaiye aur is tarhan gher mehsus tariqay se aap ki shahksiat me nikhar peda ho ga.!!!
Monday, 30 May 2011
Mehnat He Zindagi,Jamood Yaksar He Moat..........
Zindagi tehreek ka naam he aur jamood yaksar moat he. Bohat se loag mehnat se qatrate hain aur kaamyabi k liye kisi shortcut k muttalashi hte hain jab keh haqiqt yehi he k agr mehnat na ki jaye to kuch b hasil nahin kia ja skta,Allah Taala mehnat ko pasand krta he agr koi sirf duaaon ya directly kuch hasil krna chahe to ye namumkin he,mehnat se qatrana jamood ki tarf le jata he aur jamood naakami ki tarf!!!!
Friday, 27 May 2011
Jo Hota He Achay K Liye Hota He
Agar aap is baat pr pukhta yaqeen rakh lain k jo hota he achay k liye hota he aur har halat me Allah pr bharosa rakhain to yaqeen janain k phir dunya me koi aise taqat nai jo aap ko mayus kr sky aur phir Allh apne banday k bharose ko kbi thais nai pohanchata,wo nakamion se aap ka imtihan to le skta he magar aap ko mukammal tor pe chore ga nai aur aap ko apni manzil zarur mile gi!!!
Izat o Zilat Allah k Hath me He!!!
Gharror,takkabur,khudsari,apne aap ko kabil-e-izzat samhajna kam zarfi he aur kam zrfi hamaisha dukh,zillat,mayusi aur ruswai k ilawa kuch nai dete. Is liye agr Allah ne apko izat di he to apne aap ko is k qabil na samjahin bal k ise Allah ki meharbani samjhain,wo chahe to aap ko aik raat me shah se gda kr de, yd rakhain k izzat Allah k hath me he,wo aap pr ahsaan kr k apne logon me numayan krta he un k dilon me hamare liye achay jazbaat paida krta he yaqeenan ye sb hamain hamare osaaf k bina pr nai mil skta!!!!!!!!
Zindagi Phoolon Ki Saij Nahin....
Zindagi phoolon ki saij nai jo har waqt aap ko tayar mile,balkay ye aik kara imtehan he,zindagi se bohat c tawaqqoat lga kr beth jana hamaqat aur kamaqli he,aap khub mehnat kijye aur jana pana chahte hain use pane ki koshish kijye,aur naytija Allah pe chor dain aur phir Allah ka jo b faisla ho use sachay dil se qabool krain aur sabir o shakir rahain.pas Allah ki raza par razi hna hi asl Kaamyabi he!!!!
Thursday, 26 May 2011
Dusron ka Dil Dhukhna Aur Allah Ka Insaaf
Agr aap jante bujhtay huay b kisi ka dil dhukain,use dukh dain,us ki pareshani ki halat me us ko dukh pohanchain to aap ko ye yaad rakhna chahiye k wo b aik dil rakhta he aur us k b ahsasat wese hi hain jese aap k hain,kehte hain Allah dilon me rehta he to aap khud sochain k jb aap ki wjah se kisi ka dil dhuke ga to us ka natija kya ho ga, YAD RAKHAIN K ALLAH MUNSIF-E-AZEEM HE. Aur agr wo apne banday k dil dukhane ki aap ko saza de to aap kahin k b nahin rahain gay. Dusri bat ye k aik dhuki dil se nikli hui aah ya bad dua aap ko arsh se farsh pe patakh skti he,kbi aap dukhi hon to is baat pr ghor kijye ga k aap kis qadar takleef me he aur is tarhan na jane kitni hi bar aap k amal ya baton se dusre is surat-e-hal se dochar huay hon gay,is liye Allah k insaaf se darain aur insaan hone k nate,is bt ka khayal rakhain k aap k kisi jane ya an jane aml ya baat se kisi ko dukh na ho!!!
Allah Azeem Tabib,Azeem Moalij,Azeem Wakeel
Dunya me koi masla,beemari aisa nai jis ka ilaj ya hal Allah k pas na ho,ye MUSHKIL AUR NAMUMKIN ki istalahat hamare liye hain ALLAH K LIYE KUCH NAMUMKIN YA MUSHKIL NAI, Allah se bra moaalij,wakeel,mooalam aur tabib koi b nai, Allah k pas hr aafat ka ilaj he bs ye hum pr munhassir he k hum unhain kese dhundte hain magar is sb k liye ILM,SHOOR,FEHAM aur TAWQQAL-E-QAMIL ka hona lazmi he JIS K DARICHAY.ALLAH TAALA KO JANN'ANY UR US SE TAALUK BANANE KI JUSTAJU ME KHULTE JATE HAIN.
Ikhlaqiqt aur Islam
Islam deen-e-fitrat he ayr aql walon k liye aik mukammal zabta-e-hayat he jis me ikhlaqiat ko la raib muqam hasil he,acha ikhlaq aap ko wo muqam dila skta he jo ibadat b nai dila skti,is liye ye zaruri he k aap ka ikhlaq acha ho. ikhlaq ka acha hna Allah ki pasandidgi ki nishani he, aur jo Allh k pasindida bndon me shumar ho jaye wo dunya me b kaamyab hta he aur aakhrat ma b!!!!!!!
Dua me Rukk'at Ka Amal Dakhal,Aik Misaal
Aap ne aksar dekha ho ga k jb aik ghar me koi maa kaam kr rahi hti he aur us ka nonihaal bacha khel raha hta he to maa khushi se apna kaam jari rakhti he aur koshish krti he k jald az jald apna kaam kr le,magar jb bacha rota he to maa bechain hi jati he aur tamam kaam chor kr apne bachay ki taraf lapakti he aur us ki koshish hti he k jald az jald hr mumkin zaraye baru e kaar la kr us ki zarurat puri ki jaa sky,yehi Allah aur banday ka taaluk hta he,isi tarhan jb banda apne kaamon me magan rehta he aur khush rehta he to Allah Taala b us ki taraf mutawajo nai hta,magr jb banda pareshan ho,udas ho aur apni zarurat k liye Allah k samne roye,girgaraye to ye namumkin he k wo ap ki taraf muttawajja na ho aur aap ki zarurat puri krne k liye wasil na paida kray.Allah Taala apne banday se 70 maaon se b zayada mohabbat krta he to ye kese mimkin he k wo aap k pareshan dil aur aansuon ki llaj na rakhy,pas yakeen-e-kamil h rah-e-nijat he
Tuesday, 24 May 2011
Jab Haq ko Ana Ho aur Batin ko Mitna Ho....
Hamisha yad rakhain k jb Allah Taala koi kaam krana chahe to wo us k liye gher mehsoos aur gher tawqqo tor pe aise asbab paida kra deta he jo hamare wehm-o-guman me b na hta,Allah Taala logon k dil pher deta he,rahaim hamwar ho jatin hain,tamam mushkilat hat jatin hain,aur phir haq ka barmala izhar ho jata he,batin dam tor deta he,munafiq aur wo loag jo shetan k sathi htay hain sb raiza raiza ho jate hain,shetan ki tamam tadabir dhari ki dhari reh jatin hain,andhera jhat jata he aur haq o noor ka suraj tullu hta he,pas jan lijye k "Allah behtareen tadbir krne wala he" Is liye yaqeen-e-kamil aur twaqqal-e-mehkam hi durust iman he.
Monday, 23 May 2011
Dua ki Asl Rooh
Dua Allah aur insaan k darmian rabty ka naam he, Dua mushkil ka hal nai hta bal k Dua mushkil hal krne me madad dete he,Dua Allah aur Insaan k qalb k darmian Rabta he,sachi dua ka ye asr hta he k insaan dua k bich dunya-o-mafiha se cut jata he.Dua agr sachay dil se mangi ja rahi ho to isaan ki zuban pe ilfaz khud ba khud aate hain aur dua agr sachay dil se mangi jaye to zarur qobool ho jati he,ab aap khud dekhain k hum me se kitne loag aise dua krte hain,hamain apni dua ratti v hti he aur hamara dehan kahin aur hta he aur zuban se ilfaaz ada hote ja rahe htay hain,is baat pr dehan dijye,loag aksar rona rte hain k hamari dua qabool nai hti.Dua ka asr to tb ho jb wo durust tariqay,tawajjo aur mazboot aitqaad se mangi jaye!!!!!
Saturday, 21 May 2011
Mehnat Aur Qismat Ka Insaani Zindagi Me Aml Dakhal
Alllah Taala apne barguzida bandon ko kbi sharminda nai hone deta,isi liye wo kai moqon pr apne bndon k liye khilaf-e-tawqqo karishmay aur mojzay krta he aur is tarhan faida pohanchata he k hamare weham o guman me b nai hta. Naseeb ka likhna sirf Allh Taala ka ikhtayar he,jo kuch aap k nasib me ho ga wo aap ko zameen ki sarvin teh me b mil jaye ga aur jo kuch aap k nasib me nai hoga wo satwain aasman pr b nai milega. Agr aap ye samhajte hain k aap apni mehnat k bal buty pr sb kuch kr dain gay to ye aap ki ghalat fehmi he, jb tk Allah na chahe aap kamyaab nai ho sktay. KHALIFA HAAROON-UR-RASHID KA QOAL HE KEH: "MENE AKSAR BAKHAT WALON KO PARHE LIKHON PR HUKMARANI KRTE DEKHA HE" Is liye aap ye bt achi tarhan zehn nasheen kr lain k zindagi me naseeb ka zayada aml dakhal hta he.PARHE LIKHON KA QOAL HE "APNI DUA ME ACHAY BAKHT MANGA KRO" par jese k mene shuru me likh chuka hun k Twaqqal Allah bri se bri mushkil se nikal leta he,pas "Tawaqqal Allah me hi kaamyabi ka raaz muzmir he"Allah pr Tawqqal aik aise dolat he k jis se insaan hr mushkil se b lar skta he aur dunya o aakhrat me surkhuru b ho skta he
Wednesday, 18 May 2011
Allah aur Dil ki Hifazat
Koh-e-Toor pr Allah Taala k noor ki aik jhalak aawaizan hui thi yo wo raiza raiza ho gya tha. Aik riwayat he k Allah dilon me rehta he. Aik nai tehqeeq se sabit hua he k dunya me 51% wo log kaamyab hote hain jo apne dil ki mantain hain. Is liye ye zaruri he k jahan Allah Taala ki zaat ho wo jga misali aur munawwar hni chaiye. Aj kal k insaanon me hr burai ka munmba aur majmua us ka dil he. Ye ghalat he. Loag Allah Taala ko talash krne me junglon,sehraon,biyabano me apni tamam tr zindagi guzr dete hain jab k Allah Taala to dil me hi rehta he.Apne dil ki aur dil me basne wale khayalat ki hifazat kijye,apne dil ko ilm aur iman se munawwr kijye,Allah Taala ko apne qarib mehsus kijye,usy pehchanain taa k aap ki dunya aur aakhrat sanwar aky, hidayat hasil krne me aik pal lagta he aur agr aap khud hi na badlna chahe to koi kuch b nai kr skta aur aap tamam zindagi heera jaib me rakh kr khudai krte rahain,mitti kilawa kuch nai milega,aur aik din ye mitti itni barh jaye gi k aap is k nichay dab kr mit jain gain!!!!!
Tuesday, 17 May 2011
Allah Taala ki Na Shukri aur nematon se Inhiraf
Insaan ka apni mehrumion kay liye Allah Taala se gila shikwa krna us kay nehayat kamzor iman aur kamzor tawaqul ki nishani he.Kehte hain kay Allah Taala apni makhluk se aik maa se b 70 gunah zayada pyar krta he. To aap khud sochain k wo kese apne bande ko takleef de skta he??? Agr ap apni zindagi se tng hain to kbi kisi remoted area, kisi pagal khane,kisi hospital jaiye,ap ko zindagi ki haqiqat mile gi aur aik insaan ki bebasi ka pta chale ga. hamaisha apna muwazna apne se nichy walon se krna chaiye phir ap ko Allah ki ata krda nematon ka malum hoga. aur phir ap ko apni ghalti ka pta chalay ga. Allah Taala ka farman he " agr tum shukar ada kro gay to tmhain aur ata kia jaye ga" Allah Taala apne naik bandon ko hi aazmaish me dalta he. is liye hr halat me Allah ka shukar ada kia kijye kyun k hr musibat gila krne se barhati he. aur aik bt k agr Allah Taala na chahe to aap kuch hasil nai kr skte aap us k aagay bebas hain is liye ap k pas shukar k ilawa koi option nai he. Sabir aur Shakir reh kr hi Allah ko razi kia jaa skta he!!!!!!
Subscribe to:
Posts (Atom)